Samosa Kaise Banaya Jata Hai Samosa Banane Ki Tarkeeb in Urdu Samosa Banane Ki Vidhi Hindi Me

Ramzan Special Samosa Recipe Samosa Kaise Banaye



Samosa Banane Ki Recipi In Hindi

Aloo Ke Takoon Walay Samosay


Ajza/Ingredients for Simple Aloo Samosas

Maida : 250 Gram
Garam Ghee : 1/4 Cup
Namak : 1/2 Chaye Ka Chamcha
Ajwain : 1/4 Chaye Ka Chamcha
Pani : Dubanay Ke Liye Hasb e Zarorat

Samosay Ke Bharta Ke Liye Ajza

Ublay aur Kuchle Hue Aloo : 250 Gram
Khatai  Powder : 1/2 Chaye Ka Chamach
Namak : 1/2 Chaye Ka Chamach
Kuti Lal Mirch : 1/2 Chaye Ka Chamch
Kuta Hara Dhaniya : 1 Khane Ka Chamch
Bareek Kuti Hari Mirch : 2 Adad

Related Recipe : Aloo Ka Bharta Banane Ki Tarkeeb

Samosa Preparation At Home Samosa Banane Ke Tarike In Hindi Tarkeeb :


Ek pyale mein 1/4 cup garam ghee dalein ab iss mein 250 gram maide ko 1/2 chaye ka chamach namak aur 1/4 chaye ka chamcha ajwain ke sath shamil karke hasb e zarorat pani daal dain. Phir achhi tarah goondh kar sakht dough bana lain. Ab is ki choti choti balls banaye aur oval shape mein roll kar lain. Phir inhen darmiyan mein se adha kaat kar 1 hissay per pani lagain. Ab inhen cone ki shakal de kar in mein bharta daal dain aur aik taraf se daba kar dosri taraf se fold karen aur samosay bana lain. Phir inhen fry karen, yahan tak ke golden ho jayen.

Bhartay ke liye 1 piyale mein 250 gram ublay aur kuchlay hue aloo, 1/2 chaye ka chamcha khatai powder, 1/2 chaye ka chamach namak, 1/2 chaye ka chamch kuti laal mirch, 1 khane ka chamacha kata hara dhaniya aur 2 adad bareek kati hari mirch daal kar mix kar lain. Meethi Chatni Ke sath ya Pudine Ki Chatni ke sath serve karen.

Comments